check

Friday, 23 January 2015

Aamir khan does a nude scene in his new film ’Peekay’

Aamir Khan apni har nai film say tahlka machatay hain laikin is bar ka tahlka pahlay say buhat mukhtlif hai. Pahlay unki har film sirf tareefain smaiti the laikin is bar tanqeed ka samna bhi karna parh raha hai. Bawajood is kay film ki maqbooliyat main koi kami nahein ai. Aamir Khan ki nai film “PK” apni pahli releez kay baad say tanazaat ki zad main hai. Aur HAr guzartay din kay sath is main izafa ho raha hai. Tawaham Parasti kay khilaf banai janay wali is film par hindustan bhar main mutadad hindu intha pasand groups ki janib say ahtjaj kia ja raha hai. Aur kai shehroon main cinima gharoon main torh phorh karty hovay is par pabandi laganay ka mutalba kia gia hai. Taham film kay director Rajkumar Hairani nay pahli bar khamoshi tortay hovay film ka difa kia.
Rajkumar Hairani nay film ka difaa kartay hovay kaha hai kay woh PK kay bary main kuch groups kay ahtjaj peh buhat fikrmand hain. Woh kahtay hain kay woh Pk ki pori team ki janib say wazahat karna chahtay hain kay hum tamam mazahab aur aqaid ka ahtram kartay hain.
Rajkumar Hairani nay kaha hai kay hamari film mahatma ghandhi aur sanat kabeer kay khayalat say mutasir hai. Aur is film main dikhaya giya hai kay dunya main rahnay walay tamam insan barabar hain. Aur hum muhabbat aur bhai chary ko frogh daina chahtay hain. Dosri taraf hindu intha pasand jamatoon kay ahtjaj kay bawajood hindustani hakoomat nay Aamir khan ki film Pk ko cinima gharon say utarnay say inkar kar dia hai. Junior hindustani wazeer e itlaat Rajia vardhan singh Rathore nay kaha hai kay film ko sencor board say clear kia gia hai. Is liye hakoomat is kay khilaf koi action nahein lay gi.

No comments:

Post a Comment