Cricket ki dunya main MS dhoni ka naam jana pahchana hain. Kon hai jo unhain nahein janta. Cricket kay shaiqeen inhain buhat pasand kartay hain. MS Dhoni India ka aik bahtreen khilari hai. Unhon nay cricket ki dunya main buhat say record banay hain. India ki cricket team ki jaan hain ye. Un ka kahail har match main buhat shandar hota hai. Unhon nay apnay ab tak kay career mai kie centuriyan aur kia half centuryan apnay naam ki hain. Laikin ab un ki tarf say aik annoucement nay cricket shaiqeen ko buhat afsurda kar dia hai. Laikin unka naam teszt cricket ki dunya main hmaisha sunehri hroof main likha jay ga. MS Dhoni nay buhat shandar career banaya hai. Woh na sirf India main balky pori dunya mainb psand kiye jaty hain. In kay retirement kay ailan say India kay logon ko hi nahein pori dunya main in ko madahon ko dhachka laga hai.
Mahinder singh Dhoni nay test cricket say retirement ka ailan kar dia hai. Tafseelat kay mutabiq unhon nay Melborn main Austrailia kay khilaf draw ho janay walay test match kay bad aik press confrence say khitab kia.Apnay is khitab main unhon nay test crickeet say bazabt retirement ka ailan kia. Ainda Austrailia kay khilaf khailay janay walay test match main virat Kohli kaptani kay faraiz saranjam dain gay. Mehinder singh Dhoni nay apnay career main 60 test matchon main kaptani kay fraiz anjam diye. Unhon nay 90 matchoon main 4876 runs banay. Jin main 6 centuryan aur 31 half centuryan shamil hain. Mahinder Singh Dhoni aik achay batsman honay kay sath sath aik achay wicket keeper bhi hain. Unhon nay apnay career main 294 khiladiyoon ka wicket kay pechey say shikar kia. Mehinder Singh Dhoni kay is taraha achanak test cricket say retirment kay ailan nay shaiqeen ko buhat udas kar dia.

No comments:
Post a Comment